Hum kisi kam me safal kyu nahi hote ?

Aj ka sawal hai ki har kam me kaise safal ho? to dosto agar aap bhi janana chahte ho ki har kam me safal kaise ho to humare sat bane rhe.



Aap logo me se jyada tar ki yahi shikayat rehti hai ki,

  •  zindagi me kux bda ku nhi kr pate?
  •   jo chahte hai wo milta ku nhi,
  •  pisa ke lea hmesha kami ku rhti hai 
  • relationship me ldaiya ku hoti rhti hai,
  •  jise chahte hai wahi dil tod deta hai, 
  • zindagi me sab kuch kharab ho raha hai,
  •  jante hai zindagi barbad kar rahe hai 
  • jante hai jo kar rahe hai galat hai fir bhi karte hai
  •  cigarette peena band nahi ho pata
  •  jo ladki ya ladka dhoka de gaya hai use chor nhi pate,
  •  daru peena chod nahi pate,
  • zindagi me bahut kuch goals decide karte hai lekin achive nhi kr pate,
  •  financial freedom kise mile,
  •  kabhi bhut jada khus ho jae hai to kabhi bilkul toot jate hai, 
  • girlfriend nhi bna pate or agar hai to usse relation bhut toxic hai,
  •  log mjak banate hai respect nhi karte hai 
  • apne decision  khud nhi le pate hai, 
  • life me bahut confusion hai kya kare kaise kare, 
  • Kabhi kuch karne ka man karta hai kabhi kuch, 
  • Har kisi se impress ho jate hai, 
  • Adtein chhut nahi pati hai, 

Mote ya patale hai fit nhi ho pate hai.To in sab problems ka solution aaj mil jaega.

.........kya aapko pta hai ki Hum logo ek sath chetna(consciousness) ke char talo (levels) pr jeete hai

  • Bhautik jagat 
  • Adhyatmik jagat
  • Mansik jagat
  • Bhavnatmak jagat. 



Bhautik jagat  (matlab jo bhi hum dekhte hain sunte hai mehsoos karte hai ) me jo bhi humare sath hota hai woh sab baki teen jagto ka result hota hai isko ek example se samajhte hai man lo  bhautik jagat yadi ped(tree) ka upri hissa hai to baki teeno jagat ped ka wo hissa hai jo zameen ke andar ka hai. to agar tum ek aam ka ped lgate ho or us par phli bar phal nahi aate hai ya kam ate hai ya chote ate hain ya fir ped thora sa kamjor hai or aap sochte hai ki kya kia jae jisse ped bhi majboot ho jae or fal bhi khoob aaye to kya karte hai ki phalo ko pani dete hai daily saaf karte hai ek ek patta dhote hai bahut mehnat karte hai.

 lekin ye kya? 

Agli season me fir se fal nahi aate hai balki abki bar ped or kamjor ho jata hai pattee sukhne or lagte hai. ab aap or pareshan ho jate hai,

 

Samajh nahi pate hai kya ho raha hai. itni mehnat karte hai lekin phal hi nhi mil rha...

 

Are bhai app mehnat hi galat disha me kr rhe ho ped par jo phal aee hai wo to result hai or agar result khrav aya hai to iska matlab hai ki roots par dhyan nahi diya. Chahte ho result axa aee to roots par kam kro result par kam krne se kuch nhi hoga.

 


lekin hum me se 90% log apni zindagi me yahi karte hai, Ye roots ki wajah falo par dhyan dete hai.

  •  bhai paisa na hona result hai, 
  • Gussa aa jana result hai,
  • mota hona result hai ,
  • girlfriend na hona result hai,
  • izzat na milna result hai, 
  • feelings ka bah nikalna result hai, 
  • confusion rahna result hai.

Result par rone se kuch nahi hoga bhai wo to aega hi bas aap ko result sudharna hai to roots pr kam krna hoga, Jaisa ki mene aapko bataya tha ki bhautik jagat me jo bhi hota wo result hai or agar chahte ho ki result axa aee to roots yani baki teen jagat adhyatmik, bhavnatmak or mansik jagat par kam kro result apne aap axa aega.

 result par kam karne se kuch nhi hoga chahe kitni bhi mehnat kr lo koi fayda nhi mere bhai.

Ab bat ati hai ki roots par kam kaise kare,

 mansik jagat par kam kaise kare,

adhyatmik jagat majboot kaise kare,

 bhavnatmak jagat ka kya matlab hota hai.

 In teeno jagat par kaise kare jisse ki humein safalta mil sake ye

Agli post me pdege aap  ................................


                             

5 comments:

Anonymous said...

Good brother

Sudhanshu said...

Awesome dear .keep it up

Anonymous said...

Good brother

Abhinav Bajpai said...

thank you https://www.classictalk.in/2022/02/blog-post_22.html visit this one too

Abhinav Bajpai said...

thank you https://www.classictalk.in/2022/02/blog-post_22.html visit this one too

Powered by Blogger.